Introduction
Doston, jab hum social media ke liye koi video banate hain to humein apni script ko yaad karna padta hai aur isme kaafi problems ka saamna karna padta hai. Aksar hum apni script bhool jaate hain aur humein baar-baar apni video mein cut lagane ki zarurat padti hai. Agar iske liye humare paas koi aisa tool ho jiski madad se hum screen par hi script padh saken, to hamara kaam kaafi aasan ho jayega.
Iske liye aamtaur par Teleprompter ka istemal kiya jata hai aur isse hamari videos ki quality kaafi professional lagti hai. aaj ke is blog main aapko 5 aisi hi Teleprompter android apps ke baare mein batata hoon jinki madad se aap apni videos ki quality ko kaafi behtar bana sakte hain.
What is Teleprompter?
Teleprompter ek aise digital tool hota hai jo kisi bhi script ko written form mein screen par show karta hai jisko content creator read karte time hi camera se eye contact bhi banaye rakh sakta hai. Aur iske liye creator ko script ko yaad bhi nahin karna padta hai.
Top 5 Teleprompter Apps for Android.
1. Elegant Teleprompter
- Ye android app Ayman Elakwah ki taraf se develop ki gayi hai aur iski madad se aap badi aasani se mobile ki madad se script ko padh sakte hain.
- Google play store par iss app ke 5M+ downloads aur 4.3 ki rating hai.
2. Nano Teleprompter
- Ye teleprompter ka ek paid version hai par features ke maamle mein ye kafi rich hai.
- ismen kafi aise feature hain jo aapke user experience ko kafi behtar banata hai.
3. Parrot Teleprompter
- Ye Teleprompter ka ek free version hai.
- Ismen ek kamaal ka feature hai ki ismen aapko unlimited scripts ka sport mil jata hai.
- Ismen aap scrolling ko bhi customize kar sakte hain.
- Ismen aapko remote controlling ka option bhi mil jata hai.
4. PromtSmart Pro
- Ye ek paid version hai par ismen features hamen kafi mil jate hain.
- Ismen hamen voice track ka option bhi mil jata hai.
- Iske alawa ismen smart scrolling bhi option hamen mil jata hai.
5. Teleprompter Premium
- Ye ek professional teleprompter hai.
- Iska user friendly interface kafi behtar hai.
- Iske features bhi kafi advance hain.